Poetry: Kash Kai Main Lekhika Hoti
Journey of Words: A World Adorned with Poetry: Ink aur kalpana ki duniya mein, main prakriti ke nrity, prem ke sargam, aur jeevan ke mod ki kavita likhti. Har kalam ki chhaon ek anant kalpana ka canvas hai. Masoomiyat aur shaitaniyat ko gale lagate hue, main kahaniyon ka sapnon ka bunne wali hoon, shabdon ki jaadu se.
Kash kai Main Lekhika Hoti,
Likhti Apne Jazbaat Bhi.
Kuch Muskurahate To Likhti Main,
Aur Likhti Aansuo Ke Baad Bhi.
Din Ka Vo Pehar Bhi Likhti,
Aur Jagmagahat Bhari Vo Raat Bhi.
Main Nayi Pattiyon Ki Kahani Bhi Likhti,
Aur Main Likhti Phoolon Ki Baat Bhi.
Main Nadi Ka Vo Sangam Bhi Likhti,
Likhti Khojana Uska Naam Bhi.
Main Sagar Tat Ki Uss Rait Mein,
Likhti Har Lehar Ke Baad Bhi.
Hawao Se Keh Pyar Ka Apne,
Paigam Bhi Bhijwati Main.
Fir Aag Se Keh Ussi Pyar Kai,
Khat Bhi Jalwati Main.
Main Baarish Kai Sang Rona Likhti,
Likhti Patjhad Sang Mitt Jana Bhi.
Main Phoolon Ki Nayi Bahar Mein,
Likhti Pal Pal Muskurana Bhi.
Main Tedhi Si Zindagi Ko,
Sidha Karna Bhi Sikhati.
Main Sidhe Sadhe Bacchoon Ko,
Shetaniyoon Se Bhi Milvati.
Kash Kai Main Lekhika Hoti,
Rachti Har Din Ek Nayi Kahani.
Kagazz Ke Kore Panno Par,
Kalpnaao Se Bhari Syahi Ki Zubani.
Comments